jab talak dar-pesh koi hadsa hota nahin
jab talak dar-pesh koī hādsa hotā nahīñ
zindagī kyā hai hameñ is kā pata hotā nahīñ
sīdhā rasta dekhne meñ yuuñ to hai āsāñ magar
jab chalo is par to ye āsān sā hotā nahīñ
sab ne pahnī haiñ qabā.eñ shahr bhar meñ ek sī
kaun kaisā hai yahāñ is kā pata hotā nahīñ
hai ye nā-mumkin nazar aa jaa.e jalva-gāh-e-nāz
sajda-gāh-e-āshiqāñ par naqsh-e-pā hotā nahīñ
ham na dekheñ ye alag sī baat hai lekin 'zafar'
kaun sī shai hai jahāñ vo rūnumā hotā nahīñ
jab talak dar-pesh koi hadsa hota nahin
zindagi kya hai hamein is ka pata hota nahin
sidha rasta dekhne mein yun to hai aasan magar
jab chalo is par to ye aasan sa hota nahin
sab ne pahni hain qabaen shahr bhar mein ek si
kaun kaisa hai yahan is ka pata hota nahin
hai ye na-mumkin nazar aa jae jalwa-gah-e-naz
sajda-gah-e-ashiqan par naqsh-e-pa hota nahin
hum na dekhen ye alag si baat hai lekin 'zafar'
kaun si shai hai jahan wo runuma hota nahin
- Book : خموش لب (Pg. 29)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.