jab talak nam tera wird-e-zaban rahta hai
jab talak naam tirā vird-e-zabāñ rahtā hai
dil kī bastī meñ ajab ek samāñ rahtā hai
ek muddat huī vo shaḳhs judā hai mujh se
ab ḳhudā jaane vo kaisā hai kahāñ rahtā hai
yuuñ nahīñ hai ki hameñ tere sitam yaad nahīñ
zaḳhm bhar jaa.e agar phir bhī nishāñ rahtā hai
haiñ bajā sab tirī bāteñ bhī magar ai nāseh
ishq ho jaa.e to phir hosh kahāñ rahtā hai
koī rut ho koī mausam ho koī aalam ho
ishq kā sho.ala mire dil meñ tapāñ rahtā hai
jab talak nam tera wird-e-zaban rahta hai
dil ki basti mein ajab ek saman rahta hai
ek muddat hui wo shaKHs juda hai mujh se
ab KHuda jaane wo kaisa hai kahan rahta hai
yun nahin hai ki hamein tere sitam yaad nahin
zaKHm bhar jae agar phir bhi nishan rahta hai
hain baja sab teri baaten bhi magar ai naseh
ishq ho jae to phir hosh kahan rahta hai
koi rut ho koi mausam ho koi aalam ho
ishq ka shoala mere dil mein tapan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.