jab talak wo nazar nahin aata
jab talak vo nazar nahīñ aatā
dard dil kā ubhar nahīñ aatā
jis ke hisse meñ hoñ safar-nāme
us ke hisse meñ ghar nahīñ aatā
ye mohabbat kī ek ḳhūbī hai
'aib koī nazar nahīñ aatā
jis du'ā meñ milī ho ḳhud-ġharazī
us du'ā kā asar nahīñ aatā
haañ use bhī hai vasl kī chāhat
chāhtā hai magar nahīñ aatā
kyoñ kare vaqt intizār us kā
jo kabhī vaqt par nahīñ aatā
kitnā dushvār hai safar merā
jis meñ koī shajar nahīñ aatā
dostī bhī ho aur ranjish bhī
mujh ko aisā hunar nahīñ aatā
vo mirī nazm meñ utar aa.e
yaad vo is qadar nahīñ aatā
koī bhī dil se jab utar jaa.e
vo kabhī lauT kar nahīñ aatā
jab talak wo nazar nahin aata
dard dil ka ubhar nahin aata
jis ke hisse mein hon safar-name
us ke hisse mein ghar nahin aata
ye mohabbat ki ek KHubi hai
'aib koi nazar nahin aata
jis du'a mein mili ho KHud-gharazi
us du'a ka asar nahin aata
han use bhi hai wasl ki chahat
chahta hai magar nahin aata
kyon kare waqt intizar us ka
jo kabhi waqt par nahin aata
kitna dushwar hai safar mera
jis mein koi shajar nahin aata
dosti bhi ho aur ranjish bhi
mujh ko aisa hunar nahin aata
wo meri nazm mein utar aae
yaad wo is qadar nahin aata
koi bhi dil se jab utar jae
wo kabhi lauT kar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.