jab talak ye sochon ka zawiya na badlega
jab talak ye sochoñ kā zāviya na badlegā
manzileñ na badleñgī rāsta na badlegā
dekh kar lakīroñ ko ye kahā nujūmī ne
dard hī muqaddar hai zā.icha na badlegā
ishq kī tabī.at meñ mustaqil mizājī hai
mushkiloñ ko sah legā rāsta na badlegā
apnī apnī fitrat kī sab laḌā.ī laḌte haiñ
ḳhair-o-shar kā aapas meñ ma.arka na badlegā
ishq kī imāmat meñ 'fātima' hai chal niklī
chāhe kuchh bhī ho jaa.e faisla na badlegā
jab talak ye sochon ka zawiya na badlega
manzilen na badlengi rasta na badlega
dekh kar lakiron ko ye kaha nujumi ne
dard hi muqaddar hai zaicha na badlega
ishq ki tabiat mein mustaqil mizaji hai
mushkilon ko sah lega rasta na badlega
apni apni fitrat ki sab laDai laDte hain
KHair-o-shar ka aapas mein marka na badlega
ishq ki imamat mein 'fatima' hai chal nikli
chahe kuchh bhi ho jae faisla na badlega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.