jab tasawwur mein kisi ko pas pa leta hun main
jab tasavvur meñ kisī ko paas pā letā huuñ maiñ
ik nirāle kaif ko dil meñ basā letā huuñ maiñ
jab bhī yaad aatī haiñ tere gesuoñ kī rāhateñ
raat kī tārīkiyoñ meñ muskurā letā huuñ maiñ
chāhtā huuñ jab ki terī yaad ko raushan karūñ
ġham kī vaadī meñ na.ī sham.eñ jalā letā huuñ maiñ
raah meñ sūkhā huā patta bhī miltā hai agar
us pareshāñ-hāl ko sāthī banā letā huuñ maiñ
sochtā huuñ kitnā ġham-andoz hai terā ḳhayāl
phir usī se ik nayā jaadū jagā letā huuñ maiñ
jab tasawwur mein kisi ko pas pa leta hun main
ek nirale kaif ko dil mein basa leta hun main
jab bhi yaad aati hain tere gesuon ki rahaten
raat ki tarikiyon mein muskura leta hun main
chahta hun jab ki teri yaad ko raushan karun
gham ki wadi mein nai shamen jala leta hun main
rah mein sukha hua patta bhi milta hai agar
us pareshan-haal ko sathi bana leta hun main
sochta hun kitna gham-andoz hai tera KHayal
phir usi se ek naya jadu jaga leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.