jab tasawwur mein na paenge tumhein
jab tasavvur meñ na pā.eñge tumheñ
phir kahāñ DhūñDne jā.eñge tumheñ
tum ne dīvāna banāyā mujh ko
log afsāna banā.eñge tumheñ
hasrato dekho ye vīrāna-e-dil
is na.e ghar meñ basā.eñge tumheñ
merī vahshat mire ġham ke qisse
log kyā kyā na sunā.eñge tumheñ
aah meñ kitnā asar hotā hai
ye tamāshā bhī dikhā.eñge tumheñ
aaj kyā baat kahī hai tum ne
phir kabhī yaad dilā.eñge tumheñ
'saif' yuuñ chhoḌ chale ho mahfil
jaise vo yaad na ā.eñge tumheñ
jab tasawwur mein na paenge tumhein
phir kahan DhunDne jaenge tumhein
tum ne diwana banaya mujh ko
log afsana banaenge tumhein
hasrato dekho ye virana-e-dil
is nae ghar mein basaenge tumhein
meri wahshat mere gham ke qisse
log kya kya na sunaenge tumhein
aah mein kitna asar hota hai
ye tamasha bhi dikhaenge tumhein
aaj kya baat kahi hai tum ne
phir kabhi yaad dilaenge tumhein
'saif' yun chhoD chale ho mahfil
jaise wo yaad na aaenge tumhein
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 83)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.