jab tasawwur tera nahin hota
jab tasavvur tirā nahīñ hotā
zindagī meñ maza nahīñ hotā
dard dil kā chhupā.e rakhne ko
muskurānā burā nahīñ hotā
zindagī ho ke rah ga.ī bojhal
ab koī hādsa nahīñ hotā
sher likhtā huuñ ḳhuun se phir bhī
dard kā haq adā nahīñ hotā
umr guzrī hameñ safar karte
fāsla kam zarā nahīñ hotā
yād-e-māzī se kyoñ ulajhte ho
is se kuchh fā.eda nahīñ hotā
zindagī bojh ban ga.ī jab se
ḳhauf ġham kā zarā nahīñ hotā
ai 'sahar' aa.ī ye sahar kaisī
ki ujālā zarā nahīñ hotā
jab tasawwur tera nahin hota
zindagi mein maza nahin hota
dard dil ka chhupae rakhne ko
muskurana bura nahin hota
zindagi ho ke rah gai bojhal
ab koi hadsa nahin hota
sher likhta hun KHun se phir bhi
dard ka haq ada nahin hota
umr guzri hamein safar karte
fasla kam zara nahin hota
yaad-e-mazi se kyon ulajhte ho
is se kuchh faeda nahin hota
zindagi bojh ban gai jab se
KHauf gham ka zara nahin hota
ai 'sahar' aai ye sahar kaisi
ki ujala zara nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.