jab the kam-umr samajhdar nahin hote the
jab the kam-umr samajhdār nahīñ hote the
un dinoñ log adākār nahīñ hote the
ab to vo log bhī milne ko chale aate haiñ
baat karne ko jo tayyār nahīñ hote the
kuchh gharoñ meñ koī rahtā hī nahīñ thā afsos
kuchh gharoñ ke dar-o-dīvār nahīñ hote the
baat karne meñ koī ḳhauf nahīñ hotā thā
log yuuñ milne se bīmār nahīñ hote the
is tarah fat.h kiye kitne ilāqe ham ne
jang ke vāste hathiyār nahīñ hote the
yuuñ na ho aañkh khule aur bichhaḌ jaa.eñ ham
bas isī ḳhauf se bedār nahīñ hote the
jin dinoñ ḳhvāb luTātī thiiñ ye āñkheñ 'ārib'
un dinoñ itne ḳharīdār nahīñ hote the
jab the kam-umr samajhdar nahin hote the
un dinon log adakar nahin hote the
ab to wo log bhi milne ko chale aate hain
baat karne ko jo tayyar nahin hote the
kuchh gharon mein koi rahta hi nahin tha afsos
kuchh gharon ke dar-o-diwar nahin hote the
baat karne mein koi KHauf nahin hota tha
log yun milne se bimar nahin hote the
is tarah fath kiye kitne ilaqe hum ne
jang ke waste hathiyar nahin hote the
yun na ho aankh khule aur bichhaD jaen hum
bas isi KHauf se bedar nahin hote the
jin dinon KHwab luTati thin ye aankhen 'arib'
un dinon itne KHaridar nahin hote the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.