jab tilism-e-asar se nikla tha
jab tilism-e-asar se niklā thā
zahr-e-shīrīñ samar se niklā thā
uḌ ga.e āñdhiyoñ meñ jab patte
ḳhuun kitnā shajar se niklā thā
mujh se pūchhā usī ne merā pata
DhūñDne jis ko ghar se niklā thā
dhuup chamkī to mehmāñ kī tarah
saaya dīvār-o-dar se niklā thā
log so.e paḌe the aur ḳhurshīd
hajla-e-abr-e-tar se niklā thā
jab tilism-e-asar se nikla tha
zahr-e-shirin samar se nikla tha
uD gae aandhiyon mein jab patte
KHun kitna shajar se nikla tha
mujh se puchha usi ne mera pata
DhunDne jis ko ghar se nikla tha
dhup chamki to mehman ki tarah
saya diwar-o-dar se nikla tha
log soe paDe the aur KHurshid
hajla-e-abr-e-tar se nikla tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.