jab tera aasra nahin milta
jab tirā aasrā nahīñ miltā
koī bhī rāstā nahīñ miltā
apnā apnā nasīb hai pyāre
varna duniyā meñ kyā nahīñ miltā
tū ne DhūñDā nahīñ tah-e-dil se
varna kis jā ḳhudā nahīñ miltā
log milte haiñ phir bichhaḌte haiñ
koī dard-āshnā nahīñ miltā
saarī duniyā kī hai ḳhabar mujh ko
sirf apnā patā nahīñ miltā
hasrateñ dāġh-o-dard-o-ranj-o-alam
dil ke dāman meñ kyā nahīñ miltā
be-sahārā bhī dekh lo jiinā
har jagah aasrā nahīñ miltā
chehra chehra udaas lagtā hai
jab tirā ruḳh khulā nahīñ miltā
'barq' vo mehrbān ho jis par
us ko duniyā meñ kyā nahīñ miltā
jab tera aasra nahin milta
koi bhi rasta nahin milta
apna apna nasib hai pyare
warna duniya mein kya nahin milta
tu ne DhunDa nahin tah-e-dil se
warna kis ja KHuda nahin milta
log milte hain phir bichhaDte hain
koi dard-ashna nahin milta
sari duniya ki hai KHabar mujh ko
sirf apna pata nahin milta
hasraten dagh-o-dard-o-ranj-o-alam
dil ke daman mein kya nahin milta
be-sahaara bhi dekh lo jina
har jagah aasra nahin milta
chehra chehra udas lagta hai
jab tera ruKH khula nahin milta
'barq' wo mehrban ho jis par
us ko duniya mein kya nahin milta
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 18)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.