jab tera iltifat ho jae
jab tirā iltifāt ho jaa.e
qaid-e-ġham se najāt ho jaa.e
tū pilā.e jo apne hāthoñ se
zahr āb-e-hayāt ho jaa.e
jalva-e-ruḳh se ho sahar paidā
zulf bikhre to raat ho jaa.e
ġhuncha-e-dil khile jo tujh ko sunūñ
muskurāhaT se baat ho jaa.e
daulat-e-husn hai hayā bhī karo
yuuñ adā-e-zakāt ho jaa.e
tum agar mere ḳhvāb meñ aao
shab mirī shab-barāt ho jaa.e
jab tera iltifat ho jae
qaid-e-gham se najat ho jae
tu pilae jo apne hathon se
zahr aab-e-hayat ho jae
jalwa-e-ruKH se ho sahar paida
zulf bikhre to raat ho jae
ghuncha-e-dil khile jo tujh ko sunun
muskurahaT se baat ho jae
daulat-e-husn hai haya bhi karo
yun ada-e-zakat ho jae
tum agar mere KHwab mein aao
shab meri shab-baraat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.