jab tera intizar hota hai
jab tirā intizār hotā hai
dil bahut be-qarār hotā hai
dil pe chaltā hai iḳhtiyār un kā
jab ye be-iḳhtiyār hotā hai
ishq hotā hai husn kā ham-sar
jab ye ḳhud iḳhtiyār hotā hai
vo mujhe be-qarār karne ko
pahle ḳhud be-qarār hotā hai
hirs-e-shohrat nahīñ to ronā kyuuñ
naala bhī ishtihār hotā hai
dost kah kar na de fareb ai dost
dost par e'tibār hotā hai
nāznīñ haiñ kab aise log safī'
jin kā ehsān baar hotā hai
jab tera intizar hota hai
dil bahut be-qarar hota hai
dil pe chalta hai iKHtiyar un ka
jab ye be-iKHtiyar hota hai
ishq hota hai husn ka ham-sar
jab ye KHud iKHtiyar hota hai
wo mujhe be-qarar karne ko
pahle KHud be-qarar hota hai
hirs-e-shohrat nahin to rona kyun
nala bhi ishtihaar hota hai
dost kah kar na de fareb ai dost
dost par e'tibar hota hai
naznin hain kab aise log safi'
jin ka ehsan bar hota hai
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 290)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.