jab tere hath mein raushni dekhte
jab tire haath meñ raushnī dekhte
log tujh ko añdheroñ meñ bhī dekhte
ham jahāñ ke ajūbe nahīñ dekh kar
un ke badle meñ terī hañsī dekhte
ek ḳhvāhish ye puurī nahīñ ho sakī
ham tujhe apnā hotā kabhī dekhte
ham mohabbat meñ haarī huī jang ko
jiit lete agar behtarī dekhte
us ko ḳhush dekhne meñ thī apnī ḳhushī
'umr bhar bas usī kī ḳhushī dekhte
jab tere hath mein raushni dekhte
log tujh ko andheron mein bhi dekhte
hum jahan ke ajube nahin dekh kar
un ke badle mein teri hansi dekhte
ek KHwahish ye puri nahin ho saki
hum tujhe apna hota kabhi dekhte
hum mohabbat mein haari hui jang ko
jit lete agar behtari dekhte
us ko KHush dekhne mein thi apni KHushi
'umr bhar bas usi ki KHushi dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.