jab teri zat ko phaila hua dariya samjhun
jab tirī zaat ko phailā huā dariyā samjhūñ
ḳhud ko bhīgī huī rātoñ meñ akelā samjhūñ
naam likkhūñ maiñ tirā duur ḳhalāoñ meñ kahīñ
aur har lafz ko phir chāñd se pyārā samjhūñ
yaad kī jhiil meñ jab aks nazar aa.e tirā
aañkh se ashk bhī Tapke to sitārā samjhūñ
dastakeñ detā rahā raat jo galiyoñ meñ use
zehn āvāra kahūñ niiñd kā maarā samjhūñ
vo jo aa jaa.eñ mire paas to un ko 'farhat'
dukh kī baḌhtī huī bārāt kā dūlhā samjhūñ
jab teri zat ko phaila hua dariya samjhun
KHud ko bhigi hui raaton mein akela samjhun
nam likkhun main tera dur KHalaon mein kahin
aur har lafz ko phir chand se pyara samjhun
yaad ki jhil mein jab aks nazar aae tera
aankh se ashk bhi Tapke to sitara samjhun
dastaken deta raha raat jo galiyon mein use
zehn aawara kahun nind ka mara samjhun
wo jo aa jaen mere pas to un ko 'farhat'
dukh ki baDhti hui baraat ka dulha samjhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.