jab teri zulf-e-siyah-fam sanwarti hogi
jab tirī zulf-e-siyah-fām sañvartī hogī
kitnī duniyā tire javoñ se nikhartī hogī
aaj tak bhī tire jalvoñ ko na pahuñchīñ nazreñ
kab koī aañkh tire ruḳh pe Thahartī hogī
kitnī gahrā.iyoñ meñ Dūbtī hogī hastī
jab koī baat kisī dil meñ utartī hogī
ai mire dil ye ġharīb-ul-vatanī kaisī hai
kis ke pahlū meñ tirī raat guzartī hogī
vaqt ke saa.e to chaḌhte haiñ utar jaate haiñ
apne mehvar pe kahāñ dhuup Thahartī hogī
jis tarah raat guzar jaatī hai tanhā.ī meñ
ġhāliban aise hī turbat meñ guzartī hogī
vo muqaddar nahīñ ilzām na jis par aa.e
'qaisar' us daur meñ kis tarah guzartī hogī
jab teri zulf-e-siyah-fam sanwarti hogi
kitni duniya tere jawon se nikharti hogi
aaj tak bhi tere jalwon ko na pahunchin nazren
kab koi aankh tere ruKH pe Thaharti hogi
kitni gahraiyon mein Dubti hogi hasti
jab koi baat kisi dil mein utarti hogi
ai mere dil ye gharib-ul-watani kaisi hai
kis ke pahlu mein teri raat guzarti hogi
waqt ke sae to chaDhte hain utar jate hain
apne mehwar pe kahan dhup Thaharti hogi
jis tarah raat guzar jati hai tanhai mein
ghaaliban aise hi turbat mein guzarti hogi
wo muqaddar nahin ilzam na jis par aae
'qaisar' us daur mein kis tarah guzarti hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.