jab tujhse mila hun to tujhe yar kaha hai
jab tujh se milā huuñ to tujhe yaar kahā hai
jab mil na sakā huuñ to dil-āzār kahā hai
tū nūr-e-nazar jān-e-jigar rashk-e-qamar hai
o rūh-e-taġhazzul tujhe gulnār kahā hai
dekhā jo tanāsub tire a.azā-e-badan kā
har uzv ko gul ḳhud tujhe gulzār kahā hai
ab tak tirī bātoñ kī halāvat nahīñ jaatī
jo tū ne kahā maiñ ne vo sau baar kahā hai
pūchhī mirī hājat jo kisī ne shab-e-yaldā
mash.al kī bajā.e tirā ruḳhsār kahā hai
tasvīreñ musavvir ne banā.īñ to bahut par
sab ne tirī tasvīr ko shahkār kahā hai
jab ḳhuub huī mad.h sitāroñ kī to maiñ ne
sab ko tire talvoñ kā parastār kahā hai
jab mujh se huī ma.anī-e-mehrāb kī pursish
uñglī se tire abrū-e-ḳhamdār kahā hai
dekhā jo magas ne tire gulfām laboñ ko
ḳhud ko gul-o-gulzār se bezār kahā hai
āñkheñ ram-e-āhū-o-tilismāt kā sañgam
ainā ke laqab kā tujhe haqdār kahā hai
'ā.iz' ye tirā ḳhvāb magar vaa.e nadāmat
logoñ ne ise ishq kā iz.hār kahā hai
jab tujh se mila hun to tujhe yar kaha hai
jab mil na saka hun to dil-azar kaha hai
tu nur-e-nazar jaan-e-jigar rashk-e-qamar hai
o ruh-e-taghazzul tujhe gulnar kaha hai
dekha jo tanasub tere aaza-e-badan ka
har uzw ko gul KHud tujhe gulzar kaha hai
ab tak teri baaton ki halawat nahin jati
jo tu ne kaha main ne wo sau bar kaha hai
puchhi meri hajat jo kisi ne shab-e-yalda
mashal ki bajae tera ruKHsar kaha hai
taswiren musawwir ne banain to bahut par
sab ne teri taswir ko shahkar kaha hai
jab KHub hui madh sitaron ki to main ne
sab ko tere talwon ka parastar kaha hai
jab mujh se hui mani-e-mehrab ki pursish
ungli se tere abru-e-KHamdar kaha hai
dekha jo magas ne tere gulfam labon ko
KHud ko gul-o-gulzar se bezar kaha hai
aankhen ram-e-ahu-o-tilismat ka sangam
aina ke laqab ka tujhe haqdar kaha hai
'aiz' ye tera KHwab magar wae nadamat
logon ne ise ishq ka izhaar kaha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.