jab tujhe mimbar-e-yaqut kaTahra hua tha
jab tujhe mimbar-e-yāqūt kaTahrā huā thā
maiñ sar-e-arsh tire sāmne Thahrā huā thā
yūñhī bekār ga.e saare hakīmoñ ke ilaaj
zaḳhm-e-tafhīm ḳhurāfāt se gahrā huā thā
terī āvāz qayāmat meñ bhī pahchān gayā
go ki maiñ sūr-e-sarāfīl se bahrā huā thā
jo shajar sāya-e-ashjār meñ the jal ga.e the
dhuup sah sah ke mirā khet sunahrā huā thā
ātish-e-shauq tanāsub meñ usī darja thī tez
jis qadar terī mulāqāt pe pahrā huā thā
jab tujhe mimbar-e-yaqut kaTahra hua tha
main sar-e-arsh tere samne Thahra hua tha
yunhi bekar gae sare hakimon ke ilaj
zaKHm-e-tafhim KHurafat se gahra hua tha
teri aawaz qayamat mein bhi pahchan gaya
go ki main sur-e-sarafil se bahra hua tha
jo shajar saya-e-ashjar mein the jal gae the
dhup sah sah ke mera khet sunahra hua tha
aatish-e-shauq tanasub mein usi darja thi tez
jis qadar teri mulaqat pe pahra hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.