jab tumhaare ishq mein maine jalain ungliyan
jab tumhāre ishq meñ maiñ ne jalā.īñ uñgliyāñ
mere pāgal-pan pe tum ne bhī uThā.īñ uñgliyāñ
chāhatoñ ke dā.ere jab be-nishāñ hone lage
phir mire ḳhūn-e-tamannā meñ nahā.īñ uñgliyāñ
raat phir aisā huā ki peḌ ke saa.e tale
yaad aa.e tum tumhārī yaad aa.iiñ uñgliyāñ
chāhatoñ ke silsile jab darmiyāñ baḌhne lage
us ne bāloñ meñ mire apnī ghumā.īñ uñgliyāñ
zindagī merī bhī us dam jhūmne gaane lagī
fart-e-ulfat se mirī us ne dabā.īñ uñgliyāñ
jab milī tahrīk mujh ko qāfiya-paimā.ī kī
harf kī hurmat liye sajde ko aa.iiñ uñgliyāñ
sar-nigūñ kar ke jo pahuñchī rauza-e-aqdas pe maiñ
jab duā ko haath uThā.e kapkapā.īñ uñgliyāñ
chashm-o-dil dekhā kiye ki haath meñ 'afroz' kī
uñgliyoñ se mil ke us kī jagmagā.īñ uñgliyāñ
jab tumhaare ishq mein main ne jalain ungliyan
mere pagal-pan pe tum ne bhi uThain ungliyan
chahaton ke daere jab be-nishan hone lage
phir mere KHun-e-tamanna mein nahain ungliyan
raat phir aisa hua ki peD ke sae tale
yaad aae tum tumhaari yaad aain ungliyan
chahaton ke silsile jab darmiyan baDhne lage
us ne baalon mein mere apni ghumain ungliyan
zindagi meri bhi us dam jhumne gane lagi
fart-e-ulfat se meri us ne dabain ungliyan
jab mili tahrik mujh ko qafiya-paimai ki
harf ki hurmat liye sajde ko aain ungliyan
sar-nigun kar ke jo pahunchi rauza-e-aqdas pe main
jab dua ko hath uThae kapkapain ungliyan
chashm-o-dil dekha kiye ki hath mein 'afroz' ki
ungliyon se mil ke us ki jagmagain ungliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.