jab tumhaari taraf se ishaare hue
jab tumhārī taraf se ishāre hue
ham tumhāre hue tum hamāre hue
bevafā.ī kā ilzām mujh ko na do
be-jhijhak kah bhī do tum kināre hue
phir mohabbat ko aisī nazar lag ga.ī
ashk mīThe the jo khāre khāre hue
phīke phīke hue jab qarīb aa.e to
chāñd taare zamīñ par utāre hue
dekhnā kyā huā us kā muḌ kar mujhe
merī palkoñ pe aañsū sitāre hue
mil ga.ī jab tirī chhāñv meñ kuchh jagah
yuuñ lagā ab mire vāre-nyāre hue
jab tumhaari taraf se ishaare hue
hum tumhaare hue tum hamare hue
bewafai ka ilzam mujh ko na do
be-jhijhak kah bhi do tum kinare hue
phir mohabbat ko aisi nazar lag gai
ashk miThe the jo khaare khaare hue
phike phike hue jab qarib aae to
chand tare zamin par utare hue
dekhna kya hua us ka muD kar mujhe
meri palkon pe aansu sitare hue
mil gai jab teri chhanw mein kuchh jagah
yun laga ab mere ware-nyare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.