jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the
jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the
Noor Mohammad Yaas
MORE BYNoor Mohammad Yaas
jab tumheñ dekhā na thā āñkhoñ meñ kitne saa.e the
maiñ usī din se akelā huuñ ki jab tum aa.e the
aag bhaḌkī jab to maiñ ye sochtā hī rah gayā
kāġhazī kapḌe mujhe kis vahm ne pahnā.e the
jaane kis ne ham ko sūraj se kiyā thā munharif
jaane kis ne dhuup meñ vo aa.ine chamkā.e the
āsmānoñ se huā thā nūr-o-nuz.hat kā nuzūl
ābshār ūñche pahāḌoñ se utar kar aa.e the
manzaroñ meñ thī mire husn-e-nazar se āb-o-tāb
pattharoñ ke dil mire ehsās ne dhaḌkā.e the
aas ke saa.e meñ ham sahte rahe kaisā 'azāb
aag thī qadmoñ-tale aur sar pe bādal chhā.e the
dhuup meñ phailā diye kyuuñ tum ne yādoñ ke gulāb
kyā isī din ke liye mujh se ye ḳhat likhvā.e the
jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the
main usi din se akela hun ki jab tum aae the
aag bhaDki jab to main ye sochta hi rah gaya
kaghazi kapDe mujhe kis wahm ne pahnae the
jaane kis ne hum ko suraj se kiya tha munharif
jaane kis ne dhup mein wo aaine chamkae the
aasmanon se hua tha nur-o-nuzhat ka nuzul
aabshaar unche pahaDon se utar kar aae the
manzaron mein thi mere husn-e-nazar se aab-o-tab
pattharon ke dil mere ehsas ne dhaDkae the
aas ke sae mein hum sahte rahe kaisa 'azab
aag thi qadmon-tale aur sar pe baadal chhae the
dhup mein phaila diye kyun tum ne yaadon ke gulab
kya isi din ke liye mujh se ye KHat likhwae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.