jab tumhein yaad kiya ranj hua bhul gae
jab tumheñ yaad kiyā rañj huā bhuul ga.e
ham añdheroñ meñ ujāle kī fazā bhuul ga.e
tum se bichhḌe the to jiine kā chalan yaad na thā
tum ko dekhā hai to marne kī duā bhuul ga.e
tere aañsū the ki be-dāġh sitāroñ ke charāġh
umr-bhar ke liye ham apnī sazā bhuul ga.e
ham ḳhayāloñ meñ tumheñ yaad kiye jaate haiñ
aur tum dil ke dhaḌakne kī sadā bhuul ga.e
pyaar meñ koī fasīleñ jo uThā.e bhī to kyā
tum to ḳhud lazzat-e-uslūb-e-vafā bhuul ga.e
kisī mahkī huī chhāñv meñ Thahar ke ham bhī
sañg-dil vaqt kā andāz-e-jafā bhuul ga.e
kitne nādān haiñ vo ahl-e-mohabbat 'jāzib'
jo har ik baat mohabbat ke sivā bhuul ga.e
jab tumhein yaad kiya ranj hua bhul gae
hum andheron mein ujale ki faza bhul gae
tum se bichhDe the to jine ka chalan yaad na tha
tum ko dekha hai to marne ki dua bhul gae
tere aansu the ki be-dagh sitaron ke charagh
umr-bhar ke liye hum apni saza bhul gae
hum KHayalon mein tumhein yaad kiye jate hain
aur tum dil ke dhaDakne ki sada bhul gae
pyar mein koi fasilen jo uThae bhi to kya
tum to KHud lazzat-e-uslub-e-wafa bhul gae
kisi mahki hui chhanw mein Thahar ke hum bhi
sang-dil waqt ka andaz-e-jafa bhul gae
kitne nadan hain wo ahl-e-mohabbat 'jazib'
jo har ek baat mohabbat ke siwa bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.