jab tu hi kahin be-sar-o-saman paDa hai
jab tū hī kahīñ be-sar-o-sāmān paḌā hai
be-kār tirī chaah meñ insān paḌā hai
phir kis kī zarūrat mujhe Dastī hai shab-o-roz
ab dil meñ mire kaun sā armān paḌā hai
dīvār meñ dar karke bahut ḳhush to huā maiñ
kambaḳht abhī raḳhna-e-dālān paḌā hai
mujh zarra-e-na-chīz kī auqāt hī kyā hai
qadmoñ meñ tire vaqt kā sultān paḌā hai
hone de mujhe vasl kī saa.at se baġhal-gīr
laḌne ke liye hijr kā maidān paḌā hai
vāqif hī nahīñ us kī kisī chaal se 'aḳhtar'
vo jis se mirā vāsta har aan paḌā hai
jab tu hi kahin be-sar-o-saman paDa hai
be-kar teri chah mein insan paDa hai
phir kis ki zarurat mujhe Dasti hai shab-o-roz
ab dil mein mere kaun sa arman paDa hai
diwar mein dar karke bahut KHush to hua main
kambaKHt abhi raKHna-e-dalan paDa hai
mujh zarra-e-na-chiz ki auqat hi kya hai
qadmon mein tere waqt ka sultan paDa hai
hone de mujhe wasl ki saat se baghal-gir
laDne ke liye hijr ka maidan paDa hai
waqif hi nahin us ki kisi chaal se 'aKHtar'
wo jis se mera wasta har aan paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.