jab tu mujhse ruTh gaya tha
jab tū mujh se ruuTh gayā thā
dil-āñgan meñ sannāTā thā
tū kyā jaane tujh se bichhaḌ kar
maiñ kitne din tak royā thā
saarī ḳhushiyāñ ruuTh ga.ī thiiñ
armānoñ ne dam toḌā thā
rasta rasta nagrī nagrī
dil tujh ko hī DhūñDh rahā thā
tanhā.ī kī fasl ugī thī
yādoñ kā jañgal phailā thā
fikr ke hoñToñ par taale the
ġhazloñ kā dāman suunā thā
jab tu mujh se ruTh gaya tha
dil-angan mein sannaTa tha
tu kya jaane tujh se bichhaD kar
main kitne din tak roya tha
sari KHushiyan ruTh gai thin
armanon ne dam toDa tha
rasta rasta nagri nagri
dil tujh ko hi DhunDh raha tha
tanhai ki fasl ugi thi
yaadon ka jangal phaila tha
fikr ke honTon par tale the
ghazlon ka daman suna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.