jab unki nigah-e-sitam dekhte hain
jab un kī nigāh-e-sitam dekhte haiñ
to aalam ko jā-e-alam dekhte haiñ
ho ik aa.ina aa.ine ke muqābil
vo zulfoñ ke jab pech-o-ḳham dekhte haiñ
chale jā.eñge kyoñ jhaḌakte ho sāhab
tumhārī nigāh-e-karam dekhte haiñ
nigāheñ tumhārī haiñ āñkheñ tumhārī
tumhīñ ho jise dil se ham dekhte haiñ
ḳhabar tak nigāhoñ ko hotī nahīñ hai
'hayāt' is tarah un ko ham dekhte haiñ
jab un ki nigah-e-sitam dekhte hain
to aalam ko ja-e-alam dekhte hain
ho ek aaina aaine ke muqabil
wo zulfon ke jab pech-o-KHam dekhte hain
chale jaenge kyon jhaDakte ho sahab
tumhaari nigah-e-karam dekhte hain
nigahen tumhaari hain aankhen tumhaari
tumhin ho jise dil se hum dekhte hain
KHabar tak nigahon ko hoti nahin hai
'hayat' is tarah un ko hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.