jab us bazm mein hum bulae gae
jab us bazm meñ ham bulā.e ga.e
parastār ġham ke banā.e ga.e
ye tū hī batā kyoñ tire shahr meñ
sitam ahl-e-haq par hī Dhaa.e ga.e
agar pyaar ḳhushbū kā ik naam hai
to kyoñ is pe pahre lagā.e ga.e
ka.ī aur bhī the tire jāñ-nisār
hamī bazm se kyoñ uThā.e ga.e
mujhe jab nishāna banānā hī thā
to kyoñ 'aib apne chhupā.e ga.e
kaTī 'umr ḳhush-fahmiyoñ meñ mirī
mujhe ḳhvāb aise dikhā.e ga.e
ḳhafā dost 'rizvān' hone lage
unheñ aa.ine jab dikhā.e ga.e
jab us bazm mein hum bulae gae
parastar gham ke banae gae
ye tu hi bata kyon tere shahr mein
sitam ahl-e-haq par hi Dhae gae
agar pyar KHushbu ka ek nam hai
to kyon is pe pahre lagae gae
kai aur bhi the tere jaan-nisar
hami bazm se kyon uThae gae
mujhe jab nishana banana hi tha
to kyon 'aib apne chhupae gae
kaTi 'umr KHush-fahmiyon mein meri
mujhe KHwab aise dikhae gae
KHafa dost 'rizwan' hone lage
unhen aaine jab dikhae gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.