jab us ka nam labon par dua ke sath utre
jab us kā naam laboñ par duā ke saath utre
to chāñd aañkh meñ koī ghaTā ke saath utre
tumhārī yaad utartī hai is tarah dil meñ
ki jaise sahn meñ bārish havā ke saath utre
kabūtaroñ kī tarah uḌte haiñ tire ġham bhī
ki dil kī chhat pe to pahlī sadā ke saath utre
farāz-e-koh se aatā hai jis tarah paanī
kabhī vo aañkh se aisī adā ke saath utre
maiñ niiñd vaadī meñ jab bhī 'hasan' utarne lagā
hazār rañg ke sapne bhī aa ke saath utre
jab us ka nam labon par dua ke sath utre
to chand aankh mein koi ghaTa ke sath utre
tumhaari yaad utarti hai is tarah dil mein
ki jaise sahn mein barish hawa ke sath utre
kabutaron ki tarah uDte hain tere gham bhi
ki dil ki chhat pe to pahli sada ke sath utre
faraaz-e-koh se aata hai jis tarah pani
kabhi wo aankh se aisi ada ke sath utre
main nind wadi mein jab bhi 'hasan' utarne laga
hazar rang ke sapne bhi aa ke sath utre
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 49)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.