jab uske samne suraj hawa nadi kya hai
jab us ke sāmne sūraj havā nadī kyā hai
ham aadmī haiñ hamārī bisāt hī kyā hai
bichhaḌ ke ghar se yahī sochtā huuñ maiñ din-rāt
shajar se TuuT ke pattoñ kī zindagī kyā hai
jale magar jo na raushan hue zamāne meñ
vahī charāġh samajhte haiñ raushnī kyā hai
bas ek raat kā mehmān hai parinda yahāñ
use pata hī nahīñ shāḳh chāhtī kyā hai
hamāre aañsū jo chāheñ to ġharq ho duniyā
hamāre baare meñ duniyā ye jāntī kyā hai
kabhī ḳhamosh kabhī tez-rau biphartī hai
pahāḌ se koī pūchhe zarā nadī kyā hai
jab us ke samne suraj hawa nadi kya hai
hum aadmi hain hamari bisat hi kya hai
bichhaD ke ghar se yahi sochta hun main din-raat
shajar se TuT ke patton ki zindagi kya hai
jale magar jo na raushan hue zamane mein
wahi charagh samajhte hain raushni kya hai
bas ek raat ka mehman hai parinda yahan
use pata hi nahin shaKH chahti kya hai
hamare aansu jo chahen to gharq ho duniya
hamare bare mein duniya ye jaanti kya hai
kabhi KHamosh kabhi tez-rau bipharti hai
pahaD se koi puchhe zara nadi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.