jab uski taraf se koi patthar nahin aata
jab us kī taraf se koī patthar nahīñ aatā
jo bojh mire dil pe hai mujh par nahīñ aatā
dariyā huuñ aur ik 'umr se bahne meñ lagā huuñ
lekin mire hisse meñ samundar nahīñ aatā
tum lauT ke aa.e bhī to us dil meñ ki jis meñ
guzrā huā mausam bhī palaT kar nahīñ aatā
hāthoñ kī lakīreñ kahīñ le kar nahīñ jātīñ
uljhe hue rastoñ meñ kabhī ghar nahīñ aatā
yā'nī tire hote hī vo tā'mīr huā hai
rasta koī us shahr se bāhar nahīñ aatā
is dil se alag to nahīñ is aañkh kā honā
kyā shāḳh se phal gir ke zamīñ par nahīñ aatā
ik ḳhvāb haqīqat meñ badaltā nahīñ 'hāris'
ik dard tire hijr ke andar nahīñ aatā
jab us ki taraf se koi patthar nahin aata
jo bojh mere dil pe hai mujh par nahin aata
dariya hun aur ek 'umr se bahne mein laga hun
lekin mere hisse mein samundar nahin aata
tum lauT ke aae bhi to us dil mein ki jis mein
guzra hua mausam bhi palaT kar nahin aata
hathon ki lakiren kahin le kar nahin jatin
uljhe hue raston mein kabhi ghar nahin aata
ya'ni tere hote hi wo ta'mir hua hai
rasta koi us shahr se bahar nahin aata
is dil se alag to nahin is aankh ka hona
kya shaKH se phal gir ke zamin par nahin aata
ek KHwab haqiqat mein badalta nahin 'haaris'
ek dard tere hijr ke andar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.