jab usko apne andar dekhti hun
jab us ko apne andar dekhtī huuñ
to qatre meñ samundar dekhtī huuñ
ḳhabar kyā kis nazar se dekhtā hai
jise maiñ apnā rahbar dekhtī huuñ
maiñ us ko bhiiḌ meñ kyūñkar talāshūñ
jise har shai ke andar dekhtī huuñ
vo mujh ko de na de ab aasrā par
usī ko aañkh bhar kar dekhtī huuñ
hamārī hasratoñ kā kyā sila de
use ik baar kah kar dekhtī huuñ
har ik dar par to sajda ho na paayā
ab us ke dar pe rah kar dekhtī huuñ
jab us ko apne andar dekhti hun
to qatre mein samundar dekhti hun
KHabar kya kis nazar se dekhta hai
jise main apna rahbar dekhti hun
main us ko bhiD mein kyunkar talashun
jise har shai ke andar dekhti hun
wo mujh ko de na de ab aasra par
usi ko aankh bhar kar dekhti hun
hamari hasraton ka kya sila de
use ek bar kah kar dekhti hun
har ek dar par to sajda ho na paya
ab us ke dar pe rah kar dekhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.