jab usne aane ka ek din idhar irada kiya
jab us ne aane kā ik din idhar irāda kiyā
to maiñ ne dil kā makāñ aur bhī kushāda kiyā
mire mizāj se miltā nahīñ thā merā libās
to taar taar yahī soch kar libāda kiyā
na thā jo jiit kā imkāñ to sulh kar lī hai
yuuñ pichhlī haar se is baar istifāda kiyā
vo ek shaḳhs jo mujh se gurez-pā hai bahut
gumāñ hai pyaar bhī mujh se usī ne zyāda kiyā
ajab ki arz-e-tamannā ke pech-o-ḳham na khule
'shahāb' husn-e-talab ko hazār saada kiyā
jab us ne aane ka ek din idhar irada kiya
to main ne dil ka makan aur bhi kushada kiya
mere mizaj se milta nahin tha mera libas
to tar tar yahi soch kar libaada kiya
na tha jo jit ka imkan to sulh kar li hai
yun pichhli haar se is bar istifada kiya
wo ek shaKHs jo mujh se gurez-pa hai bahut
guman hai pyar bhi mujh se usi ne zyaada kiya
ajab ki arz-e-tamanna ke pech-o-KHam na khule
'shahab' husn-e-talab ko hazar sada kiya
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 91)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.