jab usne chhoDne ki di thi dhamki banhon mein
jab us ne chhoḌne kī dī thī dhamkī bāñhoñ meñ
sitam ne toḌā hai tab dam karam kī bāñhoñ meñ
vo āñkheñ dekhte hī vo dikhā nahīñ thā jo
vo scene aayā to bijlī sī chamkī bāñhoñ meñ
vo kuchh bhī gaatā nahīñ par vo gungunā de to
basā ke mānegā ḳhushbū rythm kī bāñhoñ meñ
bichhaḌne vaale Tahalte haiñ dil meñ rozāna
vo sirf qaid nahīñ album kī bāñhoñ meñ
hamārī bāñhoñ kī zid hai ki un kī bāñheñ do
vagarna jā.eñge ham bas 'adam kī bāñhoñ meñ
jab us ne chhoDne ki di thi dhamki banhon mein
sitam ne toDa hai tab dam karam ki banhon mein
wo aankhen dekhte hi wo dikha nahin tha jo
wo scene aaya to bijli si chamki banhon mein
wo kuchh bhi gata nahin par wo gunguna de to
basa ke manega KHushbu rythm ki banhon mein
bichhaDne wale Tahalte hain dil mein rozana
wo sirf qaid nahin album ki banhon mein
hamari banhon ki zid hai ki un ki banhen do
wagarna jaenge hum bas 'adam ki banhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.