jab usne wapsi ke raste rakhe hue hain
jab us ne vāpsī ke rāste rakhe hue haiñ
nazar meñ ham ne bhī kuchh zāviye rakhe hue haiñ
ye kaisā khel hai terī galī ke bāsiyoñ ne
muñDeroñ par sajā kar aa.ine rakhe hue haiñ
mazā ab zindagī kā ham ko bhī aane lagā hai
ki ham ne dostoñ se fāsle rakkhe hue haiñ
vafā ke rāste meñ aaj bhī vo mushkileñ haiñ
kināre par abhī kachche ghaḌe rakkhe hue haiñ
safar 'ausāf' apnā ho sake kaise mukammal
yahāñ har rāste meñ dā.ere rakkhe hue haiñ
jab us ne wapsi ke raste rakhe hue hain
nazar mein hum ne bhi kuchh zawiye rakhe hue hain
ye kaisa khel hai teri gali ke basiyon ne
munDeron par saja kar aaine rakhe hue hain
maza ab zindagi ka hum ko bhi aane laga hai
ki hum ne doston se fasle rakkhe hue hain
wafa ke raste mein aaj bhi wo mushkilen hain
kinare par abhi kachche ghaDe rakkhe hue hain
safar 'ausaf' apna ho sake kaise mukammal
yahan har raste mein daere rakkhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.