jab utre chand aangan mein to raaten baat karti hain
jab utre chāñd āñgan meñ to rāteñ baat kartī haiñ
vo chehra ḳhūbsūrat hai vo āñkheñ baat kartī haiñ
safar kā hausla kaafī hai manzil tak pahuñchne ko
musāfir jab akelā ho to rāheñ baat kartī haiñ
shajar jab muzmahil hoñ phuul hoñ shāḳhoñ pe afsurda
udaas āñgan meñ dīvāroñ se shāmeñ baat kartī haiñ
mirī āñkhoñ se nīñdeñ le ke tum ne ratjage baḳhshe
mire takiye mire bistar se rāteñ baat kartī haiñ
shajar bhī jhūmte haiñ jab havā.eñ gungunātī haiñ
parinde lauT aate haiñ to shāḳheñ baat kartī haiñ
jab utre chand aangan mein to raaten baat karti hain
wo chehra KHubsurat hai wo aankhen baat karti hain
safar ka hausla kafi hai manzil tak pahunchne ko
musafir jab akela ho to rahen baat karti hain
shajar jab muzmahil hon phul hon shaKHon pe afsurda
udas aangan mein diwaron se shamen baat karti hain
meri aankhon se ninden le ke tum ne ratjage baKHshe
mere takiye mere bistar se raaten baat karti hain
shajar bhi jhumte hain jab hawaen gungunati hain
parinde lauT aate hain to shaKHen baat karti hain
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 17)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.