jab wajh-e-sukun-e-jaan Thahar jae
jab vaj.h-e-sukūn-e-jāñ Thahar jaa.e
phir kaise dil-e-tapāñ Thahar jaa.e
manzil kī musāfiro na pūchho
mil jaa.e jise jahāñ Thahar jaa.e
allāh-re ḳhirām-e-nāz un kā
ik baar to āsmāñ Thahar jaa.e
kyā jāniye qāfila vafā kā
luT jaa.e kahāñ kahāñ Thahar jaa.e
ye raat ye TūTtī umīdeñ
allāh ye kārvāñ Thahar jaa.e
hai mauj meñ 'saif' kashtī-e-dil
ma.alūm nahīñ kahāñ Thahar jaa.e
jab wajh-e-sukun-e-jaan Thahar jae
phir kaise dil-e-tapan Thahar jae
manzil ki musafiro na puchho
mil jae jise jahan Thahar jae
allah-re KHiram-e-naz un ka
ek bar to aasman Thahar jae
kya jaaniye qafila wafa ka
luT jae kahan kahan Thahar jae
ye raat ye TuTti umiden
allah ye karwan Thahar jae
hai mauj mein 'saif' kashti-e-dil
malum nahin kahan Thahar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.