jab wo milne kamre tak ko aata hai
jab vo milne kamre tak ko aatā hai
ghar merā phir jannat sā ho jaatā hai
niiñd kahāñ rah jaatī hai phir āñkhoñ meñ
chāñd kisī Tahnī pe jab Tik jaatā hai
jis mausam meñ bhīgnā hai ham donoñ ko
us mausam meñ pūchh rahī ho chhātā hai
chhoḌ chalo is bastī ko is bastī meñ
kaun kahāñ kis kā kis se ab naata hai
chaudhvīñ ko chhat pe tumheñ jab taktā huuñ
chāñd bhī jal jal ke sūraj ho jaatā hai
jab wo milne kamre tak ko aata hai
ghar mera phir jannat sa ho jata hai
nind kahan rah jati hai phir aankhon mein
chand kisi Tahni pe jab Tik jata hai
jis mausam mein bhigna hai hum donon ko
us mausam mein puchh rahi ho chhata hai
chhoD chalo is basti ko is basti mein
kaun kahan kis ka kis se ab nata hai
chaudhwin ko chhat pe tumhein jab takta hun
chand bhi jal jal ke suraj ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.