jab wo mere isbaat se inkar ko samjha
jab vo mire isbāt se inkār ko samjhā
tab hī to haqīqat meñ mire pyaar ko samjhā
jab ḳhatm tamāsha huā taalī to bajī ḳhuub
lekin na koī markazī kirdār ko samjhā
jis vaqt adālat ne barī kar diye qātil
tab zehn-e-rasā na.ara-e-dīvār ko samjhā
roTī bhī khilā.ī to mujhe kāsa-ba-kaf ne
baaqī na koī bhuuk kī guftār ko samjhā
ye rauñd ke aage hī chalī jaatī hai sab ko
gar aap ne duniyā kī na raftār ko samjhā
vo dūsrī duniyā kā makīñ ho gayā jā kar
jab tak ki masīhā mire bīmār ko samjhā
kar dī lab-o-ruḳhsār kī laalī nazar-andāz
tab jā ke kahīñ husn ke me.aar ko samjhā
dī daad bahut khul ke mujhe ahl-e-suḳhan ne
lekin na 'sabā' aap ke ash.ār ko samjhā
jab wo mere isbaat se inkar ko samjha
tab hi to haqiqat mein mere pyar ko samjha
jab KHatm tamasha hua tali to baji KHub
lekin na koi markazi kirdar ko samjha
jis waqt adalat ne bari kar diye qatil
tab zehn-e-rasa nara-e-diwar ko samjha
roTi bhi khilai to mujhe kasa-ba-kaf ne
baqi na koi bhuk ki guftar ko samjha
ye raund ke aage hi chali jati hai sab ko
gar aap ne duniya ki na raftar ko samjha
wo dusri duniya ka makin ho gaya ja kar
jab tak ki masiha mere bimar ko samjha
kar di lab-o-ruKHsar ki lali nazar-andaz
tab ja ke kahin husn ke mear ko samjha
di dad bahut khul ke mujhe ahl-e-suKHan ne
lekin na 'saba' aap ke ashaar ko samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.