jab wo mujhse kalam karta hai
jab vo mujh se kalām kartā hai
dhaḌkanoñ meñ qayām kartā hai
laakh tujh se hai iḳhtilāf magar
dil tirā ehtirām kartā hai
din kahīñ bhī guzār le ye dil
tere kūche meñ shaam kartā hai
haath thāmā na haal hī pūchhā
yuuñ bhī koī salām kartā hai
vo fusūñ-kār is qadar hai 'shabī'
baiThe baiThe ġhulām kartā hai
jab wo mujh se kalam karta hai
dhaDkanon mein qayam karta hai
lakh tujh se hai iKHtilaf magar
dil tera ehtiram karta hai
din kahin bhi guzar le ye dil
tere kuche mein sham karta hai
hath thama na haal hi puchha
yun bhi koi salam karta hai
wo fusun-kar is qadar hai 'shabi'
baiThe baiThe ghulam karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.