jab wo patthar ho jate hain
jab vo patthar ho jaate haiñ
ham bhī aazar ho jaate haiñ
ashk samundar ho jaate haiñ
yā phir lashkar ho jaate haiñ
dard jab ehsāñ kar detā hai
lafz munavvar ho jaate haiñ
ḳhanjar tanhā rah jaatā hai
zaḳhm bahattar ho jaate haiñ
maiñ kuchh der jo chup rahtā huuñ
log suḳhnavar ho jaate haiñ
ek imārat ban jaatī hai
kitne be-ghar ho jaate haiñ
ḳhvāb nahīñ thakte haiñ maañ ke
girvī zevar ho jaate haiñ
shīshoñ se itnā mat khelo
shīshe ḳhanjar ho jaate haiñ
dil kā ḳhuun bahut hotā hai
sher to behtar ho jaate haiñ
jab wo patthar ho jate hain
hum bhi aazar ho jate hain
ashk samundar ho jate hain
ya phir lashkar ho jate hain
dard jab ehsan kar deta hai
lafz munawwar ho jate hain
KHanjar tanha rah jata hai
zaKHm bahattar ho jate hain
main kuchh der jo chup rahta hun
log suKHnawar ho jate hain
ek imarat ban jati hai
kitne be-ghar ho jate hain
KHwab nahin thakte hain man ke
girwi zewar ho jate hain
shishon se itna mat khelo
shishe KHanjar ho jate hain
dil ka KHun bahut hota hai
sher to behtar ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.