jab wo puri tarah nikhar aai
jab vo puurī tarah nikhar aa.ī
dhuup dīvār se utar aa.ī
raqs pahle havā ne ḳhuub kiyā
phir charāġhoñ kī lau kutar aa.ī
peḌ kī shāḳh se bichhaḌte hue
ḳhushk pattoñ kī aañkh bhar aa.ī
sub.h aur shaam ho ga.e us ke
mere hisse meñ dopahar aa.ī
kitnī yādoñ ne dil pe dastak dī
us ke aane kī jab ḳhabar aa.ī
jab wo puri tarah nikhar aai
dhup diwar se utar aai
raqs pahle hawa ne KHub kiya
phir charaghon ki lau kutar aai
peD ki shaKH se bichhaDte hue
KHushk patton ki aankh bhar aai
subh aur sham ho gae us ke
mere hisse mein dopahar aai
kitni yaadon ne dil pe dastak di
us ke aane ki jab KHabar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.