jab wo surat nazar nahin aati
jab vo sūrat nazar nahīñ aatī
kab mirī aañkh bhar nahīñ aatī
kū-e-dil-dār se nasīm-e-sahar
aatī hai jab idhar nahīñ aatī
kyā huā soz-e-ġham ki ashkoñ se
bū-e-dāġh-e-jigar nahīñ aatī
huur se kyā milegā dil vaa.iz
yaañ tabī.at agar nahīñ aatī
maut ko bhī ḳhabar nahīñ shāyad
ki vahāñ se ḳhabar nahīñ aatī
zindagī yā to hai vabāl koī
yā mujhī ko ye kar nahīñ aatī
shab-e-hijrāñ vo shab hai jis ke ba.ad
tā-qayāmat sahar nahīñ aatī
shab-e-furqat kī dāstāñ hai tavīl
niiñd al-muḳhtasar nahīñ aatī
hai tabī.at tirī rasā 'mahrūm'
tujh ko urdu magar nahīñ aatī
jab wo surat nazar nahin aati
kab meri aankh bhar nahin aati
ku-e-dil-dar se nasim-e-sahar
aati hai jab idhar nahin aati
kya hua soz-e-gham ki ashkon se
bu-e-dagh-e-jigar nahin aati
hur se kya milega dil waiz
yan tabiat agar nahin aati
maut ko bhi KHabar nahin shayad
ki wahan se KHabar nahin aati
zindagi ya to hai wabaal koi
ya mujhi ko ye kar nahin aati
shab-e-hijran wo shab hai jis ke baad
ta-qayamat sahar nahin aati
shab-e-furqat ki dastan hai tawil
nind al-muKHtasar nahin aati
hai tabiat teri rasa 'mahrum'
tujh ko urdu magar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.