jab yaad teri aati hai thamte nahin aansu
jab yaad tirī aatī hai thamte nahīñ aañsū
phir raat bhī ho jaa.e to sote nahīñ aañsū
jab ḳhauf-e-ḳhudā se ye nikal jaa.eñ to motī
juz aab ke kuchh aur to hote nahīñ aañsū
ruḳhsār ke rasta pe hī chalte haiñ ye sīdhe
insāñ kī tarah rah se bhaTakte nahīñ aañsū
ta.azīm meñ palkoñ se utar jaate haiñ nīche
ġham aa.eñ to baiThe hue rahte nahīñ aañsū
jab bhī maiñ bulātā huuñ chale aate haiñ milne
terī tarah rusvā.ī se Darte nahīñ aañsū
kājal ke bikharne se banā aur hasīñ vo
hālāñki kisī aañkh meñ jachte nahīñ aañsū
nādān 'nabīl' un se to jal jā.egā kāġhaz
kāġhaz ke kisī safhe pe likhte nahīñ aañsū
jab yaad teri aati hai thamte nahin aansu
phir raat bhi ho jae to sote nahin aansu
jab KHauf-e-KHuda se ye nikal jaen to moti
juz aab ke kuchh aur to hote nahin aansu
ruKHsar ke rasta pe hi chalte hain ye sidhe
insan ki tarah rah se bhaTakte nahin aansu
tazim mein palkon se utar jate hain niche
gham aaen to baiThe hue rahte nahin aansu
jab bhi main bulata hun chale aate hain milne
teri tarah ruswai se Darte nahin aansu
kajal ke bikharne se bana aur hasin wo
haalanki kisi aankh mein jachte nahin aansu
nadan 'nabil' un se to jal jaega kaghaz
kaghaz ke kisi safhe pe likhte nahin aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.