jab yaad tumhaari aati thi ek dard sa paida hota tha
jab yaad tumhaari aati thi ek dard sa paida hota tha
Nwab Saif Ali Sayyaf
MORE BYNwab Saif Ali Sayyaf
jab yaad tumhārī aatī thī ik dard sā paidā hotā thā
kuchh baat na ham se bantī thī kuchh kaam na achchhā hotā thā
dil jaane vaalā thā to gayā kyoñ ġham karte kyoñ pachhtāte
jab haath se ik shai kho baiThe phir haath male kyā hotā thā
kyā lutf milā vaqt-e-āḳhir shādāñ hai abhī tak ruuh mirī
ik jaan se apnī jaatā thā ik mahv-e-tamāshā hotā thā
thī dard kī jab tak dil meñ khaTak hiltā thā falak larzāñ thī zamīñ
ham aaheñ jis dam bharte the ik mahshar barpā hotā thā
jis din se tumheñ dekhā ham ne āñkhoñ meñ hai ab tak vo naqsha
jo biich meñ tum ne Daalā thā us parde se kyā hotā thā
gulshan meñ jo tum aa jaate the bulbul bhī to naale karte the
ik maiñ hī nahīñ huuñ anokhā kuchh sab jag tah-o-bālā hotā thā
'sayyāf' kā ġham meñ miT jaanā duniyā ke liye hai afsāna
apne to haiñ apne zikr hī kyā begānoñ meñ charchā hotā thā
jab yaad tumhaari aati thi ek dard sa paida hota tha
kuchh baat na hum se banti thi kuchh kaam na achchha hota tha
dil jaane wala tha to gaya kyon gham karte kyon pachhtate
jab hath se ek shai kho baiThe phir hath male kya hota tha
kya lutf mila waqt-e-aKHir shadan hai abhi tak ruh meri
ek jaan se apni jata tha ek mahw-e-tamasha hota tha
thi dard ki jab tak dil mein khaTak hilta tha falak larzan thi zamin
hum aahen jis dam bharte the ek mahshar barpa hota tha
jis din se tumhein dekha hum ne aankhon mein hai ab tak wo naqsha
jo bich mein tum ne Dala tha us parde se kya hota tha
gulshan mein jo tum aa jate the bulbul bhi to nale karte the
ek main hi nahin hun anokha kuchh sab jag tah-o-baala hota tha
'sayyaf' ka gham mein miT jaana duniya ke liye hai afsana
apne to hain apne zikr hi kya beganon mein charcha hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.