jab ye panne kitabon ke gal jaenge
jab ye panne kitāboñ ke gal jā.eñge
mol bhī kyā kahānī ke Dhal jā.eñge
rāste to raheñge hamesha vahīñ
chalne vaale hī un par badal jā.eñge
yaad phir ġham kiye tū ne apne agar
jam ga.e ashk jo phir pighal jā.eñge
rā.egāñ ye duā.eñ nahīñ jā.eñgī
dekhnā ab muqaddar badal jā.eñge
le ke ummīd kāñToñ pe chaltā rahā
tum mile to bure din bhī Tal jā.eñge
hai zarūrat unheñ kuchh dilāsoñ kī bas
log bastī ke ye phuul phal jā.eñge
ek manzil to hāsil nahīñ ziist kā
phir na.e rāstoñ par nikal jā.eñge
gungunā.e binā rah na pā.eñge log
sun ke 'hāsil' kī jo ye ġhazal jā.eñge
jab ye panne kitabon ke gal jaenge
mol bhi kya kahani ke Dhal jaenge
raste to rahenge hamesha wahin
chalne wale hi un par badal jaenge
yaad phir gham kiye tu ne apne agar
jam gae ashk jo phir pighal jaenge
raegan ye duaen nahin jaengi
dekhna ab muqaddar badal jaenge
le ke ummid kanTon pe chalta raha
tum mile to bure din bhi Tal jaenge
hai zarurat unhen kuchh dilason ki bas
log basti ke ye phul phal jaenge
ek manzil to hasil nahin zist ka
phir nae raston par nikal jaenge
gungunae bina rah na paenge log
sun ke 'hasil' ki jo ye ghazal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.