jab zabanon mein yahan sone ke tale paD gae
jab zabānoñ meñ yahāñ sone ke taale paḌ ga.e
dūdhiyā chehre the jitne vo bhī kaale paḌ ga.e
Dūbne se pahle sūraj ke nikal aatā hai chāñd
haath dho kar shaam ke pīchhe ujāle paḌ ga.e
bulbule paanī pe mat samjho havā.eñ qaid haiñ
saañs lene ke liye maujoñ ko laale paḌ ga.e
jab se us par ek chullū pyaas ke sho.ale gire
tab se saare jism meñ dariyā ke chhāle paḌ ga.e
kyā batā pā.eñgī vo manzar kā pas-e-manzar hameñ
ḳhud-numā.ī kar ke jin āñkhoñ meñ jaale paḌ ga.e
jab zabanon mein yahan sone ke tale paD gae
dudhiya chehre the jitne wo bhi kale paD gae
Dubne se pahle suraj ke nikal aata hai chand
hath dho kar sham ke pichhe ujale paD gae
bulbule pani pe mat samjho hawaen qaid hain
sans lene ke liye maujon ko lale paD gae
jab se us par ek chullu pyas ke shoale gire
tab se sare jism mein dariya ke chhaale paD gae
kya bata paengi wo manzar ka pas-e-manzar hamein
KHud-numai kar ke jin aankhon mein jale paD gae
- Book : Etemaad (Pg. 3)
- Author : Nazeer Baqri
- Publication : Misal Publications, UP (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.