jab zamane mein faqat afsurdagi rah jaegi
jab zamāne meñ faqat afsurdagī rah jā.egī
merī āñkhoñ meñ kiran ummīd kī rah jā.egī
sub.h-dam aa jā.egā us kā payām-e-ma.azarat
jis kī ḳhātir aañkh shab bhar jāgtī rah jā.egī
khil rahe haiñ soch ke sahrā meñ yādoñ ke gulāb
tū na hogā to yahāñ ḳhushbū tirī rah jā.egī
vaqt kī sarkash havāo! jab diyā bujh jā.egā
sub.h kī sūrat meñ us kī raushnī rah jā.egī
jab zamane mein faqat afsurdagi rah jaegi
meri aankhon mein kiran ummid ki rah jaegi
subh-dam aa jaega us ka payam-e-mazarat
jis ki KHatir aankh shab bhar jagti rah jaegi
khil rahe hain soch ke sahra mein yaadon ke gulab
tu na hoga to yahan KHushbu teri rah jaegi
waqt ki sarkash hawao! jab diya bujh jaega
subh ki surat mein us ki raushni rah jaegi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 398)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.