jab zamin ke muqaddar sanwar jaenge
jab zamīñ ke muqaddar sañvar jā.eñge
āsmāñ se farishte utar ā.eñge
kaise phaileñge vo log ufuq-tā-ufuq
apne andar simaT kar jo rah jā.eñge
chāñdnī mauj-dar-mauj lahrā.egī
aks tāroñ ke paanī se tharrāeñge
bārish-e-sañg karte chale jaa.eñ vo
ham lahū ro ke bhī phuul barsā.eñge
kāñch kā jism le kar kisī shahr meñ
vo agar jā.eñge bikhar jā.eñge
jin meñ tanvīr-e-ehsās jaagī na ho
zehn aise khañDar hī to kahlā.eñge
ret uḌegī jo sahrā-e-iḳhlās meñ
aur kyā apnī muTThī meñ ham lā.eñge
jab zamin ke muqaddar sanwar jaenge
aasman se farishte utar aaenge
kaise phailenge wo log ufuq-ta-ufuq
apne andar simaT kar jo rah jaenge
chandni mauj-dar-mauj lahraegi
aks taron ke pani se tharraenge
barish-e-sang karte chale jaen wo
hum lahu ro ke bhi phul barsaenge
kanch ka jism le kar kisi shahr mein
wo agar jaenge bikhar jaenge
jin mein tanwir-e-ehsas jagi na ho
zehn aise khanDar hi to kahlaenge
ret uDegi jo sahra-e-iKHlas mein
aur kya apni muTThi mein hum laenge
- Book : Roshni Ke Phool (Pg. 69)
- Author : Anwar Minai
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.