jab zarurat thi use to sar ko shane par rakha
jab zarūrat thī use to sar ko shāne par rakhā
kaam us kā ho gayā to phir nishāne par rakhā
hai Thikānā kab kahāñ ye jāntā koī nahīñ
vaqt ne har aadmī ko yuuñ Thikāne par rakhā
paḌh rahā hai vo mujhe lekin binā tartīb ke
maiñ koī aḳhbār huuñ kyā chā.e-ḳhāne par rakhā
us parinde kī kahānī jāntā sayyād hai
bhuuk ne jis kā muqaddar ek daane par rakhā
har qadam shatranj jaisī chaal chaltī zindagī
jiit ho yā haar ho sab ek ḳhāne par rakhā
jab zarurat thi use to sar ko shane par rakha
kaam us ka ho gaya to phir nishane par rakha
hai Thikana kab kahan ye jaanta koi nahin
waqt ne har aadmi ko yun Thikane par rakha
paDh raha hai wo mujhe lekin bina tartib ke
main koi aKHbar hun kya chae-KHane par rakha
us parinde ki kahani jaanta sayyaad hai
bhuk ne jis ka muqaddar ek dane par rakha
har qadam shatranj jaisi chaal chalti zindagi
jit ho ya haar ho sab ek KHane par rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.