jab zikr-e-wafa aae
jab zikr-e-vafā aa.e
dil kyoñ mirā ghabrā.e
ye raat kī ḳhāmoshī
bāteñ tirī dohrā.e
phir ḳhud ko maiñ bhūlā huuñ
phir yaad koī aa.e
jo tujh ko gañvā baiThā
apne ko vo kyā paa.e
kuchh aur baḌhī duurī
jab jab vo qarīb aa.e
hai kaun sivā tere
is dil meñ jo bas jaa.e
qismat ye kahāñ 'dānish'
koī mirā ho jaa.e
jab zikr-e-wafa aae
dil kyon mera ghabrae
ye raat ki KHamoshi
baaten teri dohrae
phir KHud ko main bhula hun
phir yaad koi aae
jo tujh ko ganwa baiTha
apne ko wo kya pae
kuchh aur baDhi duri
jab jab wo qarib aae
hai kaun siwa tere
is dil mein jo bas jae
qismat ye kahan 'danish'
koi mera ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.