jabin-e-dil pe nadamat ka dagh rahta hai
jabin-e-dil pe nadamat ka dagh rahta hai
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
jabīn-e-dil pe nadāmat kā daaġh rahtā hai
falak pe us kā hamesha dimāġh rahtā hai
gul-o-samar se ladā hai har ik shajar lekin
gayā hai kaun ki maġhmūm baaġh rahtā hai
taras rahā hai ujāle ko ḳhuun se jis ke
hasīn qasr meñ raushan charāġh rahtā hai
anā ke ḳhol se bāhar kabhī nahīñ aatā
vo jis kā ilm se ḳhālī ayāġh rahtā hai
jo kasb-e-rizq meñ ne.amat kā pā gayā mafhūm
usī amiir kā dil bhī farāġh rahtā hai
fareb-o-makr kī tashrīh mat batā mujh ko
mire shajar ke nasheman meñ zaaġh rahtā hai
hai inkishāf-e-haqīqat hī fitrat-e-'sāhil'
ajiib shaḳhs hai mahv-e-surāġh rahtā hai
jabin-e-dil pe nadamat ka dagh rahta hai
falak pe us ka hamesha dimagh rahta hai
gul-o-samar se lada hai har ek shajar lekin
gaya hai kaun ki maghmum bagh rahta hai
taras raha hai ujale ko KHun se jis ke
hasin qasr mein raushan charagh rahta hai
ana ke KHol se bahar kabhi nahin aata
wo jis ka ilm se KHali ayagh rahta hai
jo kasb-e-rizq mein neamat ka pa gaya mafhum
usi amir ka dil bhi faragh rahta hai
fareb-o-makr ki tashrih mat bata mujh ko
mere shajar ke nasheman mein zagh rahta hai
hai inkishaf-e-haqiqat hi fitrat-e-'sahil'
ajib shaKHs hai mahw-e-suragh rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.