jabin-e-shauq itni to sharik-e-kar ho jae
jabīn-e-shauq itnī to sharīk-e-kār ho jaa.e
jahāñ sajda karūñ maiñ āstān-e-yār ho jaa.e
sabā barham agar zulf-e-darāz-e-yār ho jaa.e
qayāmat karvaTeñ letī huī bedār ho jaa.e
banā do jis ko tum majbūr vo majbūr ban jaa.e
jise muḳhtār tum kah do vahī muḳhtār ho jaa.e
tujhe ma.alūm kyā ai ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale
vahī hastī hai hastī jo nisār-e-yār ho jaa.e
jo ho jaa.e yaqīñ ā.eñge vo rasm-e-ayādat ko
na ho bīmār bhī koī to vo bīmār ho jaa.e
guzar jaa.e hudūd-e-ma.arifat se tālib-e-jalva
jo be-parda kisī saa.at jamāl-e-yār ho jaa.e
hukūmat hai junūñ par hast manshā tere vahshī kī
abhī dīvāna ban jaa.e abhī hoshyār ho jaa.e
faqat itnī itā.at chāhtī hai rahmat-e-yārī
ki insāñ ko gunah kā apne bas iqrār ho jaa.e
isī ko kāmyāb-e-dīd kahte haiñ nazar vaale
vo āshiq jo halāk-e-hasrat-e-dīdār ho jaa.e
na hogī ḳhatm phir bhī kashmakash shaiḳh-o-barahman kī
agar ham-rishta-e-tasbīh bhī zunnār ho jaa.e
samajh lenā vahīñ umr-e-ravāñ kī āḳhirī manzil
jahāñ par ḳhatm 'afqar' justujū-e-yār ho jaa.e
jabin-e-shauq itni to sharik-e-kar ho jae
jahan sajda karun main aastan-e-yar ho jae
saba barham agar zulf-e-daraaz-e-yar ho jae
qayamat karwaTen leti hui bedar ho jae
bana do jis ko tum majbur wo majbur ban jae
jise muKHtar tum kah do wahi muKHtar ho jae
tujhe malum kya ai KHwab-e-hasti dekhne wale
wahi hasti hai hasti jo nisar-e-yar ho jae
jo ho jae yaqin aaenge wo rasm-e-ayaadat ko
na ho bimar bhi koi to wo bimar ho jae
guzar jae hudud-e-marifat se talib-e-jalwa
jo be-parda kisi saat jamal-e-yar ho jae
hukumat hai junun par hast mansha tere wahshi ki
abhi diwana ban jae abhi hoshyar ho jae
faqat itni itaat chahti hai rahmat-e-yari
ki insan ko gunah ka apne bas iqrar ho jae
isi ko kaamyab-e-did kahte hain nazar wale
wo aashiq jo halak-e-hasrat-e-didar ho jae
na hogi KHatm phir bhi kashmakash shaiKH-o-barahman ki
agar ham-rishta-e-tasbih bhi zunnar ho jae
samajh lena wahin umr-e-rawan ki aaKHiri manzil
jahan par KHatm 'afqar' justuju-e-yar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.